July 13, 2012

Taareef-E-Adaa

na karna ghumaan taareef-e-husn sun kar..
ki khud ba khud tasveer kabhi ban tee nahi..

naaz karna khud pe jo ada ki tareef ho..
ki virasat mein adaa kabhi miltee nahi..

hum kayal hain in adaon ke.. jo asal mein tumharee hain..
ye khoobee kisi aur mein.. humein dikhtee nahi..

hum na kahenge ki tum chaand aur aaftaab ho..
mukammal adakaar kehne mien zubaan thaktee nahi..

-written for a celebrity who I am a fan of!!

No comments: